junūñ kī raah meñ pahle dar-e-jānāna aatā hai
farāġhat hai phir is ke baad hī vīrāna aatā hai
ye dil kī baat hai aur baat ye dil hī samajhtā hai
hamāre paas aksar chal ke ḳhud mai-ḳhāna aatā hai
karo har gaam par sajde mohabbat kā taqāza hai
bahut nazdīk hai aur yaar kā kāshāna aatā hai
huī hai kārgar tarkīb mere dil kī ḳhvāhish kī
mujhe bīmār sun kar koī betābāna aatā hai
lagātī hai gale se sham.a us ko maiñ samajhtā huuñ
fanā ho kar baqā ke rañg meñ parvāna aatā hai
shafaq se mai barastī hai ajab gul-rañg hai aalam
nazar meñ merī sūraj sūrat-e-paimāna aatā hai
suḳhan hai mo'atabar terā 'suhail' us ne kahā mujh se
qalam se tere aksar sher ustādāna aatā hai