junūñ ke dasht meñ nikleñ vafā kī had kar deñ
uThā ke eḌiyāñ apnī darāz qad kar deñ
mohabbatoñ ke chaman phir se lahlahā.eñge
ye nafratoñ ke sabhī baab qaid-e-had kar deñ
tumhāre hijr ke mausam jinheñ mayassar huuñ
vo barg-o-bar kī bahāroñ ko mustarad kar deñ
jo ehtimām-e-baġhāvat kā pesh-ḳhema huuñ
ḳhulūs-e-dil se vo zulmat ke baab sad kar deñ
nigāh-e-nāz se dekheñ to bahr-e-āzādī
qafas ke saare parindoñ ko nām-zad kar deñ
agar huuñ rishte ujāloñ se mo'atabar phir to
charāġh baḌh ke añdheroñ kī ḳhud madad kar deñ
hamāre shahr meñ aise bhī log haiñ 'anjum'
vo jis ko dekh leñ us ko hī mustanad kar deñ