Irshad Khan Sikandar

rishta bahaal kash phir uski gali se ho

Irshad Khan Sikandar

Uttar pradesh, India

1983
rishta bahāl kaash phir us kī galī se ho
jī chāhtā hai ishq dobāra usī se ho
anjām jo bhī ho mujhe is kī nahīñ hai fikr
āġhāz-e-dāstan-e-safar aap hī se ho
ḳhvāhish hai pahuñchūñ ishq ke maiñ us maqām par
jab un kā sāmnā mirī dīvāngī se ho
kapḌoñ kī vaj.h se mujhe kam-tar na āñkiye
achchhā ho merī jāñch-parakh shā.erī se ho
ab mere sar pe sab ko hañsāne kā kaam hai
maiñ chāhtā huuñ kaam ye sanjīdgī se ho
duniyā ke saare kaam to karnā dimāġh se
lekin jab ishq ho to 'sikanndar' vo jī se ho
Top Urdushayar.com