tire kūche meñ jo baiThā hai pāgal
vo dil se haath dho baiThā hai pāgal
tasavvur meñ tumhārā saath pā kar
lo apne hosh kho baiThā hai pāgal
tirī ḳhushbū jidhar ko jā rahī hai
usī jānib hī to baiThā hai pāgal
zamāne par to khul kar hañs rahā thā
tire chhūte hī ro baiThā hai pāgal
ishāre ishq kī maujoñ ke pā kar
badan-kashtī Dubo baiThā hai pāgal
ta.āruf yuuñ mirā detī hai duniyā
chale jaao ki vo baiThā hai pāgal
suḳhan-var fikr ke lamhoñ meñ aksar
lage hai yuuñ ki go baiThā hai pāgal
tumhāre dar pe kitnī muddatoñ se
nigāheñ pher lo baiThā hai pāgal
mirī āñkhoñ ke ziine se utar kar
mirā dāman bhigo baiThā hai pāgal