na ibtidā-e-junūñ hai na intihā-e-junūñ
bas ek fitna hai kahiye jise adā-e-junūñ
vo gul kī tarah se hañstā hai merī hālat par
irāda ab hai koī aur gul khilā.e junūñ
kamāl ye hai ḳhirad bhī talāsh kartī hai
barā-e-sajda-ta.azīm naqsh-e-pā-e-junūñ
ye apnī apnī tabī.at hai kyā kiyā jaa.e
tumheñ rulā.e junūñ aur mujhe hañsā.e junūñ
vajūd-e-āshiq-o-ma.ashūq se jahāñ raushan
vo nūr-e-vasl hai jis se kī jagmagā.e junūñ
asar ye hotā hai sūraj bhī jaag uTThā hai
ki chheḌ kartī hai ġhunchoñ se jab sabā-e-junūñ
vo mujh se martaba-e-ishq meñ buland rahe
ḳhudā kare vo chalā jaa.e māvarā-e-junūñ
jo tujh ko chhūtā hai anmol ho hī jaatā hai
tire vajūd meñ hai yaar kīmiyā-e-junūñ
'suhail' us ko bhī hai e'tirāf-e-jazba-e-shauq
vo ban gayā hai mubārak ho dil-rubā-e-junūñ