hausla bhale na do uḌaan kā
tazkira to chhoḌ do thakān kā
iiñT ugtī dekh apne khet meñ
ro paḌā hai aaj dil kisān kā
kapḌe aur roTiyāñ milīñ magar
mas.ala abhī bhī hai makān kā
mujh meñ koī hiire haiñ jaḌe hue
sab kamāl hai tire bakhān kā
ik nadī ke do kināroñ aisā hai
fāsla hamāre darmiyān kā
chāhtā huuñ maiñ hī qissa-go banūñ
dard kī tavīl dāstān kā
shab hamārā chāñd chhat pe aayā to
rañg uḌ gayā thā āsmān kā
maiñ charāġh se jalā charāġh huuñ
raushnī hai pesha ḳhāndān kā
kar gayā ḳhamosh mujh ko der tak
chīḳhnā vo ek be-zabān kā