Irshad Khan Sikandar

aankhon ki dahliz pe aa kar baiTh gai

Irshad Khan Sikandar

Uttar pradesh, India

1983
āñkhoñ kī dahlīz pe aa kar baiTh ga.ī
terī sūrat ḳhvāb sajā kar baiTh ga.ī
kal terī tasvīr mukammal kī maiñ ne
fauran us par titlī aa kar baiTh ga.ī
tānā-bānā bunte bunte ham udhḌe
hasrat phir thak kar ġhash khā kar baiTh ga.ī
khoj rahā hai aaj bhī vo gūlar kā phuul
duniyā to afvāh uḌā kar baiTh ga.ī
rone kī tarkīb hamāre aa.ī kaam
ġham kī miTTī paanī pā kar baiTh ga.ī
vo bhī laḌte laḌte jag se haar gayā
chāhat bhī ghar-bār luTā kar baiTh ga.ī
būḌhī maañ kā shāyad lauT aayā bachpan
guḌiyoñ kā ambār lagā kar baiTh ga.ī
ab ke charāġhoñ ne chauñkāyā duniyā ko
āñdhī āḳhir meñ jhunjhlā kar baiTh ga.ī
ek se baḌh kar ek the daavñ sharāfat ke
jiit magar ham se katrā kar baiTh ga.ī
tere shahr se ho kar aa.ī tez havā
phir dil kī buniyād hilā kar baiTh ga.ī
Top Urdushayar.com