dil o nazar meñ tire ruup ko basātā huā
tirī galī se guzartā huuñ jagmagātā huā
ġhazal ke phuul mire zehn meñ mahakte hue
tirā ḳhayāl mujhe raat bhar jagātā huā
vo bārgāh-e-adab hai aqīdatoñ kī jagah
maiñ us galī se kyuuñ guzrūñgā ḳhaak uḌātā huā
mire junūñ se harīfoñ ke paañv ukhaḌte hue
maiñ jaan dene ke chakkar meñ jaañ bachātā huā
kise milā tire qadmoñ meñ jaan de denā
maiñ sruḳh-rū huā chāhat ke kaam aatā huā
tumhārī yaad mujhe is tarah se lagtī hai
koī charāg añdhere meñ jhilmilātā huā
hatheliyoñ kī lakīreñ mujhe parakhtī huiiñ
maiñ har qadam pe muqaddar ko āzmātā huā
javāb kyuuñ haiñ sabhī ḳhāmoshī meñ dubke hue
savāl zehn ke āñgan meñ aatā jaatā huā
mire ḳhilāf sabhī sāzisheñ rachīñ jis ne
vo ro rahā hai mirī dāstāñ sunātā huā
hamārī samt lagātār vaar hote hue
use bachāne meñ aksar maiñ choT khātā huā