bechain vo rahtā hai mire paas se jā ke
dekhā hai ka.ī baar mujhe us ne bhulā ke
aane se tire rañg badal degī tamannā
alfāz badal jā.eñge ai dost duā ke
ye barq ye gul aur chamakte hue taare
sab jalve haiñ ye aap ke hañsne kī adā ke
maiñ ne bhī batāyā ki mirā hausla kyā hai
tevar to bahut tez the tūfān-e-balā ke
zāhir hue jab rāz-e-mohabbat to ḳhalish kyā
jaatā hai to jaa.e koī dāman ko chhuḌā ke
ham quvvat-e-parvāz meñ saanī nahīñ rakhte
toḌe haiñ jo dar band the ham ne hī ḳhalā ke
ye maan liyā ham to haiñ nākām-e-mohabbat
tum aur kisī se bhī dikhāo to nibhā ke
bebāk nigāhoñ meñ mirī aisī kashish thī
vo bhuul ga.e aaj to andāz hayā ke
in āñkhoñ meñ aañsū the mirā haal jo dekhā
manzil ne qadam chuum liye aabla pā ke
vo roz 'suhail' ek na.ī chheḌ kare hai
vo yūñhī bigāḌegā mirī baat banā ke