maiñ ne bilkul nahīñ chāhā ki koī baat baḌhe
us ne jab haath baḌhāyā to mire haath baḌhe
yaar aise kabhī izzat nahīñ milne vaalī
apnī auqāt meñ aa jaao ki auqāt baḌhe
mujhe us se to koī aur nahīñ thā matlab
maiñ ne chāhā thā zarā mel-mulāqāt baḌhe
us ne āgāh kiyā lauT ke jaane se mujhe
aur phir merī taraf kitne hī sadmāt baḌhe
kuchh sitāroñ kā garebāñ nahīñ bachne vaalā
haath ye merā agar sū-e-samāvāt baḌhe