har ghaḌī ḳhauf ke girdāb meñ rahnā hī nahīñ
ab mujhe halqa-e-ahbāb meñ rahnā hī nahīñ
maiñ tirī baat karā detā huuñ ḳhud se lekin
aañkh kahtī hai kisī ḳhvāb meñ rahnā hī nahīñ
naam bhī letā nahīñ ab vo kahīñ jaane kā
kal jo kahtā thā ki punjab meñ rahnā hī nahīñ
ham mulāqāt ke auqāt baḌhā deñ lekin
der tak chāñd ko tālāb meñ rahnā hī nahīñ
vo to aise hī mujhe aap bulātī hai 'hasan'
jab ki mujh ko adab-ādāb meñ rahnā hī nahīñ