siine mohabbatoñ se munavvar kiye ga.e
ham dūsroñ se aise bhī behtar kiye ga.e
vaise tumhārā ḳhauf bhī kaafī ziyāda thā
kuchh faisle to ḳhud se bhī Dar kar kiye ga.e
yak dam kisī ne ham ko gale se lagā liyā
sahrā se ek pal meñ samundar kiye ga.e
bā-qā.edā hamārā liyā jā rahā thā naam
phir dekhte hī dekhte dīgar kiye ga.e
ab aa.ine ke aage khaḌe sochte haiñ ham
kuchh tajarbe ziyāda hī ḳhud par kiye ga.e
ab aap in ko sher kaheñ yā nahīñ kaheñ
kuchh rañj the jo dāḳhil-e-daftar kiye ga.e