dhakke diye haiñ dhuup ne saa.e gale paḌe
tum saath jab nahīñ the to raste gale paḌe
ab ḳhatm ho chukā hai buzurgoñ kā ehtirām
dariyā ko aa ke aaj kināre gale paḌe
tum jā chuke the aur yahāñ phir tumhāre ba.ad
ik dūsre ko chāhne vaale gale paḌe
kyā aur koī shahar meñ miltā nahīñ use
aa aa ke roz ishq hamāre gale paḌe
is muflisī ke bojh ne halkā kiyā mujhe
maiñ ḳhālī haath aayā to bachche gale paḌe
ai dost is tarah bhī guzartī hai zindagī
is ke gale paḌe kabhī us ke gale paḌe
dil se tumhārā naam miTāne kī der thī
phir is ke ba.ad peḌ parinde gale paḌe