jazboñ se farozāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
kyā hashr-ba-dāmāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
raushan hai ajal aur abad un kī ziyā se
ye rahmat-e-yazdāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
baḌhne lagī kuchh aur vahāñ ātish-e-jazbāt
dil meñ mere mehmāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
kar dī hai lab o chashm ne tasdīq hamārī
husn-e-ruḳh-e-jānāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
chiñgāriyāñ uThtī haiñ to lagtī haiñ hameñ phuul
jādū-e-bahārāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār
zulfoñ kī havā.eñ to 'suhail' aur ġhazab haiñ
ab aag kā tūfāñ haiñ dahakte hue ruḳhsār