Hasan Zaheer Raja

aankhon se utar kar mere dil tak koi aae

Hasan Zaheer Raja

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1990
āñkhoñ se utar kar mire dil tak koī aa.e
us dar pe bhī dene kabhī dastak koī aa.e
pahle to baḌe daam batātā thā vo dil ke
ab aas meñ baiThā hai ki gāhak koī aa.e
har baar maiñ duniyā ke bulāve pe gayā huuñ
is baar ye ḳhvāhish hai ki mujh tak koī aa.e
ab ek sā mausam to hamesha nahīñ rahtā
mumkin hai kisī roz achānak koī aa.e
ahbāb ke qadmoñ ko tarastī hai mirī shaam
khole hue baiThā huuñ maiñ baiThak koī aa.e
is dil ke makāñ kā maiñ 'hasan' pahlā makīñ huuñ
aatā hai mire ba.ad to be-shak koī aa.e
Top Urdushayar.com