Hasan Zaheer Raja

tujhe to aaj bhi hum be-shumar chahte hain

Hasan Zaheer Raja

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1990
tujhe to aaj bhī ham be-shumār chāhte haiñ
ik aur tarah kā lekin qarār chāhte haiñ
hamārā mas.ala ye hai ki shaam hote hī
ham apne aap se thoḌā farār chāhte haiñ
palaTne vaale tujhe pahle hī batāyā thā
kisī bhī shaḳhs ko ham ek baar chāhte haiñ
ye log kyuuñ bhalā thakte dikhā.ī dete nahīñ
ab aur kitnā tirā intizār chāhte haiñ
hamāre tajarbe itne ziyāda Thiik nahīñ
so tujh se pyaar nahīñ e'tibār chāhte haiñ
ḳhudā havas se bachā.e magar ka.ī din se
tire badan pe bhī ham iḳhtiyār chāhte haiñ
Top Urdushayar.com