ik dūsre meñ Duub ke ham paar ho ga.e
is baar yuuñ mile haiñ ki sarshār ho ga.e
vaise shurūa meñ hameñ dushvāriyāñ huiiñ
phir us ke ba.ad ham bhī adākār ho ga.e
is jism ko tavajjoh kā fuqdān le gayā
tum ne chhuā nahīñ hai to mismār ho ga.e
kal kā kise patā magar itnā zarūr hai
ham log zehnī taur pe tayyār ho ga.e
dariyā na dūriyoñ kā kabhī paar ho sakā
kashtī meñ paañv rakhte hī bedār ho ga.e
miTTī ke saath zehn ko bhī kuchh numū milī
bārish huī to thoḌe se ash.ār ho ga.e