thoḌī ziddī hai magar dekhnā thak jā.egī
ek dīvār mire saath chipak jā.egī
ye batāo ki kahīñ ruk to nahīñ jaanā hai
ye batāo ki kahāñ tak ye saḌak jā.egī
zabt vaalā huuñ magar sāmne aa kar us ke
jāntā huuñ ki mirī aañkh chhalak jā.egī
sirf peḌoñ ke hī chehre nahīñ utre hoñge
saarī bastī pe udāsī vo chhiḌak jā.egī
raat chaupāl meñ dete the tasallī saare
chand hī roz haiñ ab fasl bhī pak jā.egī
phal kā phir bojh to us se nahīñ uThne vaalā
baur aate hī agar shāḳh lachak jā.egī
us ne māñ-bāp kā chup-chāp kahā maan liyā
maiñ to samjhā thā ki pañkhe se laTak jā.egī