hamārā mas.ala hal ho rahā hai
ki ab ye shahr jañgal ho rahā hai
kisī ne apnī naav kyā utārī
ye dariyā jaise pāgal ho rahā hai
musalsal ruuh zaḳhmī ho rahī hai
badan mismār pal pal ho rahā hai
maiñ shiddat dhuup kī jab sah chukā huuñ
koī aise hī bādal ho rahā hai
in āñkhoñ kī adam-e-dilchaspiyoñ se
hamārā ḳhvāb bojhal ho rahā hai
mirī sāñsoñ kā jaane kyā banegā
tirā aanā mo.attal ho rahā hai
jahāñ ke āḳhirī hisse meñ huuñ ab
safar-nāma mukammal ho rahā hai