merī soch mujhe kis rutbe par le aa.ī
dā.ira-e-hastī ik nuqte par le aa.ī
jab duniyā ko maiñ ne kor-e-nazar Thahrāyā
merī āñkheñ apne chehre par le aa.ī
maiñ to ik sīdhī pagDanDī par niklā thā
pagDanDī mujh ko chaurāhe par le aa.ī
yuuñ mahsūs huā apnī gahrā.ī meñ jā kar
jaise koī mauj kināre par le aa.ī
sahrā meñ bhī dīvāreñ sī phāñd rahā huuñ
bīnā.ī kis andhe raste par le aa.ī
maiñ ne noch ke pheñkīñ jo shikneñ chādar se
vo sab shikneñ duniyā māthe par le aa.ī
kāhkashāñ ke ḳhvāb 'muzaffar' dekh rahā thā
aur bedārī ret ke Tiile par le aa.ī