Muzaffar Warsi

mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
maanā ki musht-e-ḳhāk se baḌh kar nahīñ huuñ maiñ
lekin havā ke rahm-o-karam par nahīñ huuñ maiñ
insān huuñ dhaḌakte hue dil pe haath rakh
yuuñ Duub kar na dekh samundar nahīñ huuñ maiñ
chehre pe mal rahā huuñ siyāhī nasīb kī
ā.īna haath meñ hai sikandar nahīñ huuñ maiñ
vo lahar huuñ jo pyaas bujhā.e zamīn kī
chamke jo āsmāñ pe vo patthar nahīñ huuñ maiñ
'ġhālib' tirī zamīn meñ likkhī to hai ġhazal
tere qad-e-suḳhan ke barābar nahīñ huuñ maiñ
lafzoñ ne pī liyā hai 'muzaffar' mirā lahū
hañgāma-e-sadā huuñ suḳhan-var nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com