Muzaffar Warsi

hath aankhon pe rakh lene se KHatra nahin jata

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
haath āñkhoñ pe rakh lene se ḳhatra nahīñ jaatā
dīvār se bhauñchāl ko rokā nahīñ jaatā
da.avoñ kī tarāzū meñ to azmat nahīñ tultī
fiite se to kirdār ko naapā nahīñ jaatā
farmān se peḌoñ pe kabhī phal nahīñ lagte
talvār se mausam koī badlā nahīñ jaatā
chor apne gharoñ meñ to nahīñ naqb lagāte
apnī hī kamā.ī ko to luuTā nahīñ jaatā
auroñ ke ḳhayālāt kī lete haiñ talāshī
aur apne garebān meñ jhāñkā nahīñ jaatā
faulād se faulād to kaT saktā hai lekin
qānūn se qānūn ko badlā nahīñ jaatā
zulmat ko ghaTā kahne se bārish nahīñ hotī
sho.aloñ ko havāoñ se to Dhāñpā nahīñ jaatā
tūfān meñ ho naav to kuchh sabr bhī aa jaa.e
sāhil pe khaḌe ho ke to Duubā nahīñ jaatā
dariyā ke kināre to pahuñch jaate haiñ pyāse
pyāsoñ ke gharoñ tak koī dariyā nahīñ jaatā
allāh jise chāhe use miltī hai 'muzaffar'
izzat ko dukānoñ se ḳharīdā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com