zindagī jis par hañse aisī koī ḳhvāhish na kī
ghaao siine meñ sajā.e ghar kī ārā.ish na kī
nukta-chīnī par mirī tum itne bargashta na ho
kah diyā jo kuchh bhī dil meñ thā magar sāzish na kī
ek se hālāt aa.e haiñ nazar har daur meñ
ruk ga.e mere qadam yā vaqt ne gardish na kī
jhuk gayā qadmoñ pe tere phir bhī sar ūñchā rahā
aañkh patthar ho ga.ī jalvoñ kī farmā.ish na kī
laakh nazroñ ko uchhālā tū na aayā baam par
saa.e sar paTḳhā kiye dīvār ne jumbish na kī
maiñ ne jin āñkhoñ ko siine meñ utārā phir ga.iiñ
ḳhud ko apnāne kī is Dar se kabhī koshish na kī
rah ke mahdūd-e-vasā.il kī 'muzaffar' ne basar
paañv phailā kar kabhī chādar kī paimā.ish na kī