Muzaffar Warsi

aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
aadmī chauñk chukā hai magar uTThā to nahīñ
maiñ jise DhūñDh rahā huuñ ye vo duniyā to nahīñ
ruuh ko dard milā dard ko āñkheñ na milīñ
tujh ko mahsūs kiyā hai tujhe dekhā to nahīñ
rañg sī shakl milī hai tujhe ḳhushbū sā mizāj
lāla-o-gul kahīñ terā hī sarāpā to nahīñ
chehra dekhūñ to ḳhad-o-ḳhāl badal jaate hī
chhup ke ā.īne ke pīchhe koī baiThā to nahīñ
pheñk kar maar zamīñ par na zamāne mujh ko
TuuT hī jā.ūñgā jaise maiñ khilaunā to nahīñ
zindagī tujh se har ik saañs pe samjhautā karūñ
shauq jiine kā hai mujh ko magar itnā to nahīñ
merī āñkhoñ meñ tire naqsh-e-qadam kaise haiñ
is sarā.e meñ musāfir koī Thahrā to nahīñ
sochte sochte dil Dūbne lagtā hai mirā
zehan kī tah meñ 'muzaffar' koī dariyā to nahīñ
Top Urdushayar.com