barsoñ hue us se na koī baat huī raat
tū ne bhī na kī apnī koī jādūgarī raat
gum ho ga.ī ummīd-e-mulāqāt sahar meñ
ye tū ne mire saath ajab chaal chalī raat
vo le gayā saath apne ujāle mire dil ke
kaaTe na kaTī ham se jo thī dard-bharī raat
ashkoñ se kahā maiñ ne judā.ī kā fasāna
is par ye kahā us ne ki aa.egī na.ī raat
shikve mire aur us kā batānā ise ilzām
kuchh tai na huā aur yūñhī biit ga.ī raat
jo mere tasavvur meñ thā hañgāma-e-mahshar
us ke liye maḳhsūs huī vasl kī hī raat
is meñ hī to hai chāñd sitāroñ kā muqaddar
ik ḳhāl-e-siyah-tāb kī hai jalvagarī raat
jis raat kabhī koī mere saath rahā thā
aa jaa.e 'suhail' aaj duā hai kī vahī raat