kyā bhalā mujh ko parakhne kā natīja niklā
zaḳhm-e-dil aap kī nazroñ se bhī gahrā niklā
tishnagī jam ga.ī patthar kī tarah hoñToñ par
Duub kar bhī tire dariyā se maiñ pyāsā niklā
jab kabhī tujh ko pukārā mirī tanhā.ī ne
bū uḌī phuul se tasvīr se saayā niklā
koī miltā hai to ab apnā pata pūchhtā huuñ
maiñ tirī khoj meñ tujh se bhī pare jā niklā
mujh se chhuptā hī rahā tū mujhe āñkheñ de kar
maiñ hī parda thā uThā maiñ to tamāshā niklā
toḌ kar dekh liyā ā.īna-e-dil tū ne
terī sūrat ke sivā aur batā kyā niklā
nazar aayā thā sar-e-bām 'muzaffar' koī
pahuñchā dīvār ke nazdīk to saayā niklā