Muzaffar Warsi

kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
kab nishāñ merā kisī ko shab-e-hastī meñ milā
maiñ to jugnū kī tarah apnī hī muTThī meñ milā
bhaag niklā thā jo tūfāñ se chhuḌā kar dāman
sar-e-sāhil vahī Duubā huā kashtī meñ milā
aañkh raushan ho to duniyā ke añdhere kyā haiñ
rasta mahtāb ko rātoñ kī siyāhī meñ milā
maiñ jalātā rahā tere liye lamhoñ ke charāġh
tū guzartā huā sadiyoñ kī savārī meñ milā
tū ne mañgtoñ ko uchaTtī huī nazreñ bhī na diiñ
haath phailāyā na jis ne use jholī meñ milā
maiñ ik aañsū hī sahī huuñ bahut anmol magar
yuuñ na palkoñ se girā kar mujhe miTTī meñ milā
mahfiloñ meñ kiyā logoñ ne 'muzaffar' kī talāsh
vo bhaTaktā huā afkār kī vaadī meñ milā
Top Urdushayar.com