Muzaffar Warsi

ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
ab ke barsāt kī rut aur bhī bhaḌkīlī hai
jism se aag nikaltī hai qabā giilī hai
sochtā huuñ ki ab anjām-e-safar kyā hogā
log bhī kāñch ke haiñ raah bhī pathrīlī hai
shiddat-e-karb meñ hañsnā to hunar hai merā
haath hī saḳht haiñ zanjīr kahāñ Dhīlī hai
gard ā.ankhoñ meñ sahī daaġh to chehre pe nahīñ
lafz dhuñdle haiñ magar fikr to chamkīlī hai
ghol detā hai samā.at meñ vo mīThā lahja
kis ko ma.alūm ki ye qand bhī zahrīlī hai
pahle rag rag se mirī ḳhuun nichoḌā us ne
ab ye kahtā hai ki rañgat hī mirī piilī hai
mujh ko be-rañg hī kar deñ na kahīñ rañg itne
sabz mausam hai havā surḳh fazā niilī hai
merī parvāz kisī ko nahīñ bhātī to na bhaa.e
kyā karūñ zehn 'muzaffar' mirā jibrīlī hai
Top Urdushayar.com