Muzaffar Warsi

zindagi khinch gai mujhse tere abru ki tarah

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
zindagī khiñch ga.ī mujh se tire abrū kī tarah
apne hī ḳhuun kā pyāsā huuñ lab-e-jū kī tarah
vo sitārā jo mire naam se mansūb huā
dīda-e-shab meñ hai ik āḳhirī aañsū kī tarah
sho.ala-e-soz-e-darūñ sard huā jaatā hai
koī samjhā.e sabā ko ki chale lū kī tarah
koī dīvāna uThe ḳhaak uḌāne ke liye
aaj bhī dasht haiñ phaile hue baazū kī tarah
is bhare shahar meñ kartā huuñ havā se bāteñ
paañv paḌtā hai zamīñ par mirā aahū kī tarah
shabnamī haath baḌhā.ūñ ki khule darvāza
bin khile phuul ke zindāñ meñ huuñ ḳhushbū kī tarah
chāhte haiñ jo 'muzaffar' ġham-e-hastī se farār
baiTh jaa.eñ vo gaḌhā khod ke sādhū kī tarah
Top Urdushayar.com