aag se sairāb dasht-e-zindagānī ho gayā
sho.ala-e-dil aañkh meñ aayā to paanī ho gayā
dard siine meñ uThā māthe pe shikneñ paḌ ga.iiñ
rañg chehre kā sadā-e-be-zabānī ho gayā
terī āñkheñ aa.ina hāthoñ meñ le kar aa ga.iiñ
rū-ba-rū ho kar tire maiñ apnā saanī ho gayā
jab bhaḌak uTThā thā tere qurb se merā badan
naam un hassās lamhoñ kā javānī ho gayā
kar diyā thā maiñ ne jo āvāra pattoñ par raqam
raaz vo rusvā havāoñ kī zabānī ho gayā
ek an-miT raushnī thā arsh kī mehrāb par
aadmī ke ruup meñ aa kar maiñ faanī ho gayā
jin ke sīnoñ meñ dhaḌaktā thā 'muzaffar' merā dil
aaj maiñ un ke liye bhūlī kahānī ho gayā