muntazir rahnā bhī kyā chāhat kā ḳhamyāza nahīñ
kaan dastak par lage haiñ ghar kā darvāza nahīñ
haath par tū ne muqaddar kī lakīreñ khīñch diiñ
kyā tujhe bhī mere mustaqbil kā andāza nahīñ
dekhnā chāhūñ to ḳhushbū, chhūnā chāhūñ to havā
mere dāman tak jo aa.e tū vo shīrāza nahīñ
dafan huuñ ehsās kī sadiyoñ purānī qabr meñ
zindagī ik zaḳhm hai aur zaḳhm bhī taaza nahīñ
tum hī ai ḳhāmoshiyo patthar uThā lo haath meñ
koī naġhma koī naala koī āvāza nahīñ
husn pahchānegī merā dekhne vaalī nazar
ḳhuuñ to hai āñkhoñ meñ chehre par agar ġhāza nahīñ
māñgte haiñ kyuuñ 'muzaffar' log bārish kī duā
tishnagī-e-rūh kā jismoñ ko andāza nahīñ