ḳhushāmad kar ke vo pahroñ kabhī mujh ko manātā hai
use merī tarah se chāhne kā Dhañg aatā hai
jahān-e-husn kī ra.anā.iyoñ meñ shauq kā aalam
sharārat jab bhī dil kartā hai dilbar muskurātā hai
ba-sad lutf-o-karam le kar mujhe jaatā hai dariyā tak
Dubo kar mujh ko ḳhud bhī vo usī meñ Duub jaatā hai
ba-vaqt-e-ḳhās mujh ko munkashif kartā hai vo mujh par
vo apnī shān-e-yaktā.ī kā jalva yuuñ dikhātā hai
lakīreñ mere hāthoñ kī yakāyak jagmagātī haiñ
mire hāthoñ meñ jis lamha tumhārā haath aatā hai
mujhe is qism kī koī shikāyat hī nahīñ us se
jalātā hai kuḌhātā hai satātā hai rulātā hai
yahī qissa hai maut-o-zindagī kā ai mire hamdam
koī apnī adā.eñ dil-rubā ke ruḳh dikhātā hai
'suhail' is tarah likhtā hai vo ḳhud-ārā.ī kā qissa
vo apnā naam likh kar phir tumhārā naam laatā hai