Muzaffar Warsi

KHud meri aankhon se ojhal meri hasti ho gai

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
ḳhud mirī āñkhoñ se ojhal merī hastī ho ga.ī
ā.īna to saaf hai tasvīr dhundlī ho ga.ī
saañs letā huuñ to chubhtī haiñ badan meñ haDDiyāñ
ruuh bhī shāyad mirī ab mujh se bāġhī ho ga.ī
faash kar diiñ maiñ ne ḳhud andar kī be-tartībiyāñ
zindagī ārā.ishoñ meñ aur nañgī ho ga.ī
pyaar kartī haiñ mire rastoñ se kyā kyā bandisheñ
toḌ dī zanjīr to dīvār ūñchī ho ga.ī
merī jānib aa.e pas-manzar se patthar be-shumār
rañg-e-duniyā dekh kar bīnā.ī zaḳhmī ho ga.ī
paḌ gayā parda samā.at par tirī āvāz kā
ek aahaT kitne hañgāmoñ pe haavī ho ga.ī
kar gayā hai mubtalā-e-karb aur ik sāneha
aur kuchh din zinda rahne kī talāfī ho ga.ī
ḳhvāhishoñ kī aag bhī bhaḌkā.egī ab kyā mujhe
raakh bhī merī 'muzaffar' ab to ThanDī ho ga.ī
Top Urdushayar.com