ham kareñ baat dalīloñ se to radd hotī hai
us ke hoñToñ kī ḳhamoshī bhī sanad hotī hai
saañs lete hue insāñ bhī haiñ lāshoñ kī tarah
ab dhaḌakte hue dil kī bhī lahad hotī hai
jis kī gardan meñ hai phandā vahī insān baḌā
sūliyoñ se yahāñ paimā.ish-e-qad hotī hai
sho.abda-gar bhī pahante haiñ ḳhatīboñ kā libās
boltā jahl hai bad-nām ḳhirad hotī hai
kuchh na kahne se bhī chhin jaatā hai ejāz-e-suḳhan
zulm sahne se bhī zālim kī madad hotī hai