ye faisla to bahut ġhair-munsifāna lagā
hamārā sach bhī adālat ko bāġhiyāna lagā
hamāre ḳhuun se bhī us kī ḳhushbueñ phūTīñ
hameñ to qatl bhī kar ke vo bevafā na lagā
lagā.ī aag bhī is ehtimām se us ne
hamārā jaltā huā ghar nigār-ḳhāna lagā
ham itnā ruuh kī gahrā.iyoñ ke aadī the
ki Dūbtā huā dil Dūbtā huā na lagā
ye ḳhaam maal milegā bahut hī kam dāmoñ
lahū ho jis kī zarūrat vo kārḳhāna lagā
kisī bhī shaḳhs se jab us kī ḳhairiyat pūchhī
to apnā lahja-e-pursish bhī tāziyāna lagā
ye kaun log 'muzaffar' kī kar rahe the burā.ī
mile haiñ ham bhī bahut ham ko vo burā na lagā