gahrā.iyoñ meñ zehn kī girdāb sā rahā
sāhil pe bhī khaḌā huā ġharqāb sā rahā
be-nām sī ik aag jalātī rahī mujhe
ḳhuuñ ke bajā.e jism meñ tezāb sā rahā
ḳhālī vajūd hī liye phirtā rahā magar
kāñdhoñ pe umr bhar mire asbāb sā rahā
naġhme bikhertā rahā ehsās-e-talḳh bhī
ḳhāma bhī mere haath meñ mizrāb sā rahā
ashkoñ meñ us ke husn kī lau tairtī rahī
paanī ke āsmān pe mahtāb sā rahā
kaam aa.ī shā.irī bhī 'muzaffar' ke kis qadar
tanhā.ī meñ bhī majma-e-ahbāb sā rahā