Muzaffar Warsi

naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
naqsh dil par kaisī kaisī sūratoñ kā rah gayā
kitnī lahreñ ham-safar thiiñ phir bhī pyāsā rah gayā
kaisī kaisī ḳhvāhisheñ mujh se judā hotī ga.iiñ
kis qadar ābād thā aur kitnā tanhā rah gayā
DhūñDne niklā thā āvāzoñ kī bastī meñ use
soch kar vīrāñ guzargāhoñ pe baiThā rah gayā
us se milnā yaad hai mil kar bichhaḌnā yaad hai
kyā batā saktā huuñ kyā jaatā rahā kyā rah gayā
maiñ ye kahtā huuñ ki har ruḳh se basar kī zindagī
zindagī kahtī hai har pahlū adhūrā rah gayā
ahd-e-rafta kī khudā.ī kis qadar mahñgī paḌī
jis jagah ūñchī imārat thī gaḌhā sā rah gayā
sirf itnī hai 'muzaffar' apnī rūdād-e-hayāt
maiñ zamāne ko zamāna mujh ko taktā rah gayā
Top Urdushayar.com