liyā jo us kī nigāhoñ ne jā.eza merā
to TuuT TuuT gayā ḳhud se rābta merā
samā.atoñ meñ ye kaisī miThās ghultī rahī
tamām umr rahā talḳh zā.iqa merā
chaTaḳh gayā huuñ maiñ apne hī haath se gir kar
mire hī aks ne toḌā hai aa.ina merā
kiyā gayā thā kabhī mujh ko sañgsār jahāñ
vahīñ lagāyā gayā hai mujassama merā
jabhī to umr se apnī ziyāda lagtā huuñ
baḌā hai mujh se ka.ī saal tajraba merā
adāvatoñ ne mujhe e'timād baḳhshā hai
mohabbatoñ ne to kaaTā hai rāsta merā
maiñ apne ghar meñ huuñ ghar se ga.e huoñ kī tarah
mire hī sāmne hotā hai tazkira merā
maiñ luT gayā huuñ 'muzaffar' hayāt ke hāthoñ
sunegī kis kī adālat muqaddama merā