Muzaffar Warsi

kuchh aisa utra main us sang-dil ke shishe mein

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
kuchh aisā utrā maiñ us sañg-dil ke shīshe meñ
ki chand saañs bhī aa.e na apne hisse meñ
vo ek aise samundar ke ruup meñ aayā
ki umr kaT ga.ī jis ko ubuur karne meñ
mujhe ḳhud apnī talab kā nahīñ hai andāza
ye kā.enāt bhī thoḌī hai mere kaase meñ
milī to hai mirī tanhā.iyoñ ko āzādī
juḌī huī haiñ kuchh āñkheñ magar darīche meñ
ġhanīm bhī koī mujh ko nazar nahīñ aatā
ghirā huā bhī huuñ chāroñ taraf se ḳhatre meñ
mirā shu.ūr bhī shāyad vo tifl-e-kam-sin hai
bichhaḌ gayā hai jo gumrāhiyoñ ke mele meñ
hunar hai shā.irī shatranj shauq hai merā
ye jā.idād 'muzaffar' milī hai virse meñ
Top Urdushayar.com