dil ho hassās to jiine meñ bahut ghāTā hai
maiñ ne ḳhud apne hī zaḳhmoñ kā lahū chāTā hai
mujh pe ehsāñ hai mirī tesha-ba-kaf sāñsoñ kā
zindagī tujh ko pahāḌoñ kī tarah kaaTā hai
Duub kar dekh samundar huuñ maiñ āvāzoñ kā
tālib-e-husn-e-samā.at mirā sannāTā hai
maiñ chaTānoñ kī tarah jin kī kamīñ-gāh banā
rafta rafta unhīñ lahroñ ne mujhe chāTā hai
mar chukā huuñ maiñ ka.ī baar jahāñ ke hāthoñ
apnī lāshoñ se 'muzaffar' ye kuaañ paaTā hai