suḳhan-varī hameñ kab tajribe se aa.ī hai
zabāñ meñ chāshnī dil TūTne se aa.ī hai
jidhar se merā badan dhuup chaaT kar guzrā
havā-e-sard usī rāste se aa.ī hai
taḌaptā maiñ huuñ pasīna hai us ke māthe par
shikast-e-dil kī sadā aa.ine se aa.ī hai
khulā subūt hai ye dushmanoñ ke shab-ḳhūñ kā
ki dhuul Thahre hue qāfile se aa.ī hai
safar meñ saath mirā aur koī kyā detā
havā bhī merī taraf sāmne se aa.ī hai
sahar ne mujh ko 'muzaffar' nahīñ kiyā saiqal
mirī nazar meñ chamak ratjage se aa.ī hai