Muzaffar Warsi

main hare mausamon mein jalta raha

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011

maiñ hare mausamoñ meñ jaltā rahā

ḳhushbuoñ se dhuāñ nikaltā rahā

aag par hoñT rakh diye the kabhī

āḳhirī saañs tak pighaltā rahā

maiñ akelā bhī kārvāñ tarah

rāstoñ ke baġhair chaltā rahā

hādse mujh ko pesh aate rahe

aur zamāne bahaltā rahā

merī āvāz munharif na huī

vaqt faisla badaltā rahā

zindagī mujh ko qatl kartī rahī

maut vādiyoñ meñ paltā rahā

kārobār-e-suḳhan kiyā maiñ ne

'muzaffar' lahū ugaltā rahā

Top Urdushayar.com