Muzaffar Warsi

zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
zaḳhm-e-dil aur harā ḳhūn-e-tamannā se huā
tishnagī kā mirī āġhāz hī dariyā se huā
chubh ga.ī halq meñ kāñToñ kī tarah pyaas mirī
dasht sairāb mire ābla-e-pā se huā
dil-e-zinda ko chunā dard kī dīvāroñ meñ
rok letī mujhe itnā bhī na duniyā se huā
sar meñ saudā thā magar paañv meñ zanjīr na thī
ḳhaak uḌātā rahā mansūb na sahrā se huā
pher diiñ kis ne salāḳheñ sī mirī āñkhoñ meñ
kaun añgusht-numā tāq-e-tamāshā se huā
duur jā kar mirī āvāz sunī duniyā ne
fan ujāgar mirā ā.īna-e-fardā se huā
bū mizājoñ se ga.ī rañg uḌe chehroñ ke
ḳhush yahāñ kaun mire dīda-e-bīnā se huā
ajnabī sā nazar aayā huuñ 'muzaffar' ḳhud ko
be-takalluf jo maiñ is ahd-e-shanāsā se huā
Top Urdushayar.com