Muzaffar Warsi

saya koi main apne hi paikar se nikalun

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
saayā koī maiñ apne hī paikar se nikālūñ
tanhā.ī batā kaise tujhe ghar se nikālūñ
ik mauj bhī mil jaa.e agar mujh ko sile meñ
girte hue dariyā ko samundar se nikālūñ
teshe se bajātā phirūñ maiñ barbat-e-kohsār
naġhme jo mire dil meñ haiñ patthar se nikālūñ
lau tez nahīñ kuchh mirī āñkhoñ hī kī shāyad
matlab yahī be-nūrī-e-manzar se nikālūñ
badle na koī rañg tirā husn-e-ḳhamoshī
maiñ baat ke pahlū tire tevar se nikālūñ
tauba ne jagāyā mire andar kā sharābī
ab faal bhī TuuTe hue sāġhar se nikālūñ
sochoñ ke bayābāñ meñ liye phirtā hai mujh ko
kyā zehn bhī saudā hai jise sar se nikālūñ
ik nasl-e-suḳhan mujh meñ hai ābād 'muzaffar'
sūrat na.ī har lafz ke andar se nikālūñ
Top Urdushayar.com