Muzaffar Warsi

dida-e-sang mein binai kahan se aae

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
dīda-e-sañg meñ bīnā.ī kahāñ se aa.e
zarf murda ho to sachchā.ī kahāñ se aa.e
pyaar ta.amīr ho jab buġhz kī buniyādoñ par
miltī nazroñ meñ shanāsā.ī kahāñ se aa.e
gum haiñ rañgoñ meñ ḳhad-o-ḳhāl bhī tasvīroñ ke
pas-e-parda kā tamāshā.ī kahāñ se aa.e
merī har soch ke raste meñ khaḌā hai koī
ā.īna-ḳhāne meñ tanhā.ī kahāñ se aa.e
merī āvāz ḳhamoshī ne mujhe lauTā dī
mujh meñ ab jur.at-e-goyā.ī kahāñ se aa.e
koī bhī dekhnā chāhe na kisī ko zinda
ḳhuuñ ke pyāsoñ meñ masīhā.ī kahāñ se aa.e
is qadar shauq dar-āmad hai 'muzaffar' ham ko
sochte rahte haiñ rusvā.ī kahāñ se aa.e
Top Urdushayar.com