Muzaffar Warsi

phir chahe jitni qamat le kar aa jaana

Muzaffar Warsi

Meerut, Uttar pradesh, India

1933-2011
phir chāhe jitnī qāmat le kar aa jaanā
pahle apnī zaat se tum bāhar aa jaanā
tanhā tai kar lūñgā saare mushkil raste
shart ye hai ki tum darvāze par aa jaanā
maiñ dīvār pe rakh ā.ūñgā diip jalā kar
saayā ban kar tum darvāze par aa jaanā
tum ne ham ko Thukrāyā ye zarf tumhārā
jab tum ko Thukrā deñ log idhar aa jaanā
bātoñ kā bhī zaḳhm bahut gahrā hotā hai
qatl bhī karnā ho to be-ḳhanjar aa jaanā
tum kyuuñ apnī satah pe ham ko laanā chāho
mushkil hai gahrā.ī kā uupar aa jaanā
jab thak jaa.e zehn ḳhudā.ī karte karte
bandoñ se milne banda-parvar aa jaanā
ham ne ye tahzīb parindoñ se sīkhī hai
sub.h ko ghar se jaanā shaam ko ghar aa jaanā
rasta rasta ek ajā.ib-gāh 'muzaffar'
hañstī āñkhoñ se jaanā shashdar aa jaanā
Top Urdushayar.com