merī judā.iyoñ se vo mil kar nahīñ gayā
us ke baġhair maiñ bhī koī mar nahīñ gayā
duniyā meñ ghuum phir ke bhī aise lagā mujhe
jaise maiñ apnī zaat se bāhar nahīñ gayā
kyā ḳhuub haiñ hamārī taraqqī-pasañdiyāñ
ziine banā liye koī uupar nahīñ gayā
juġhrāfi.e ne kaaT diye rāste mire
tārīḳh ko gila hai ki maiñ ghar nahīñ gayā
aisī koī ajiib imārat thī zindagī
bāhar se jhāñktā rahā andar nahīñ gayā
Daalā na dostoñ ko kabhī imtihān meñ
sahrā meñ mere saath samundar nahīñ gayā
us vaqt tak sulagtī rahī us kī aarzū
jab tak dhueñ se saarā badan bhar nahīñ gayā
zillat ke bhaav bik ga.iiñ izzat-ma.ābiyāñ
dastār us kī jaatī rahī sar nahīñ gayā
ḳhvāhish havas ke ruup meñ achchhī nahīñ lagī
duniyā ko fat.h kar ke sikandar nahīñ gayā
kāñdhoñ pe apne log use le ga.e kahāñ
pairoñ se apne chal ke 'muzaffar' nahīñ gayā