vo roktā hai mujhe shahr meñ nikalne se
bhaḌak uThūñ na kahīñ āñdhiyoñ meñ jalne se
ye tarz-e-talḳh-navā.ī kuchh itnī sahl nahīñ
zabāñ pe aable paḌ jaa.eñ sach ugalne se
ḳhalā havā.ī sahāroñ se pur nahīñ hotā
buland hotā hai insāñ kahīñ uchhalne se
ḳhud apne-āp se poshīda rahnā nā-mumkin
nazar badaltī nahīñ aa.ina badalne se
khaḌā huuñ maiñ kisī girtī huī fasīl pe kyā
tavāzun aur bigaḌne lagā sambhalne se
baḌe ḳhulūs se māñgī thī raushnī kī duā
baḌhā kuchh aur añdherā charāġh jalne se
luTā diyā jinheñ jiitī huī raqam kī tarah
vo din palaT to na ā.eñge haath milne se
chhaTegī kaise 'muzaffar' siyāhī qismat kī
nikal to aa.egā ḳhurshīd raat Dhalne se