ḳhāndānī qaul kā to paas rakh
raam hai to sāmne ban-bās rakh
aas ke gauhar bhī kuchh mil jā.eñge
yaas ke kuchh pattharoñ ko paas rakh
tū imārat ke mahal kā ḳhvāb chhoḌ
ḳhvāb meñ bas jhoñpaḌī kā baas rakh
mahz terī zaat tak mahdūd kyuuñ
mausamoñ ke kaif kā bhī paas rakh
dahr meñ maazī bhī thā terā na bhuul
aane vaale kal meñ bhī vishvās rakh
tujh ko apne ġham kā to ehsās ho
apne pahlū meñ dil-e-hassās rakh
daulat-e-iflās tujh ko mil ga.ī
daulat-e-kaunain kī ab aas rakh
mubtadī ko lauh se hai vāsta
tū to hai ahl-e-qalam qirtās rakh
bostāñ sab ko lage terā vajūd
apne tan meñ is liye bū-bās rakh
ye zamāñ hai tez-rau ghoḌā nahīñ
haath meñ apne na us kī raas rakh
sāhib-e-maqdūr hai maanā 'figār'
ye tujhe kis ne kahā thā daas rakh