zamāna DhūñD rahā thā kidhar gayā paanī
kisī kā hukm huā to Thahar gayā paanī
vo dhuup thī ki zamīñ jal ke raakh ho jaatī
baras ke ab ke baḌā kaam kar gayā paanī
baḌā ġhurūr thā apnī chamak-damak pe use
sunār ne jo tapāyā utar gayā paanī
ḳhudā kā ḳhauf nahīñ ab tumhāre zehnoñ meñ
tavahhumāt kā is tarah bhar gayā paanī
shikast-ḳhurda ye qaumeñ tumheñ miTā deñgī
agar tumhārī hamiyyat kā mar gayā paanī
taras na aayā ġharīboñ ke haal par 'ājiz'
sisakte paudoñ ke sar se guzar gayā paanī